22Ft. By 21Ft. house plan
Is post me apko 22X21ft size ke plot ka naksha bana kar dikhaya gaya hai.ye plot gali(8ft Road) me hai ye dhyan me rakh kar banaya gaya hai kunki sabhi logo ke makaan chaudi sadko par nahi hote.is post ko padh kar ap bhi apne ghar ka naksha bana sakte hain agar apke plot ka size 22 by 21Ft. se kam ya zyada hai to bhi ap apne plot ke size ke hisaab se is nakshe me badlao kar sakte hain.
Ground Floor Plan
Ghar-ka-naksha |
Main Entry- jaisa ki ap log nakshe me dekh sakte hain makaan me sabse aage seedhi bani hui hai aage seedhi hone se makaan me andar ka space bahot zyada waste nahi hua hai aue seedhi ka chaupata balcony ke roop me 3ft bahar nikla hua hai isliye is makaan me entry seedhi ke chaupate ke niche se ho rahi hai jo ki apki main entry ke sath sath bike parking space ka kaam bhi karegiSeedhi(Stairs)-seedhi front pe banayi gayi hai.seedhi ki chaudayi 3ft hai jisme ap aur koi bhi samaan ap upar niche araam se le ja sakte hain.zyadatar log makaan to banwa lete hain lekin usme seedhi itni kam chaudayi ki bani hoti hai jisme se ek sofa bhi upar niche le jana mushkil ho jata hai jiske baad pachhtawa hota hai achi seedhi na banwane par .isliye humne is nakshe me seedhi ke size ka bhi khaas khayal rakha hai ki ek chhote plot me bhi apka plan achi tarah ho jaye .
Hall & Other-
Is nakshe me ground floor par 21ftx15'ft ka hall banaya gaya hai is hall ko ap guest room ki tarah use kar sakte hain.kyunki ek chhota plot hai aur chhote plot me log nakhsa banate samay rooms ka size bhi chhota kar dete hain jiske baad festivals ya kisi dusre functions ke mauko par hamare paas koi aisa space nahi bachta jahan par hum apne relatives/guests ko baitha sakein ya ek sath baitha ke dinner karwa sakein.isliye humne ground floor par ek hall banaya hua hai.ap chahein to is hall ko master bed room ki tarah bhi use kar sakte hain.
Is hall ke sath Toilet banaya gaya hai aur toilet ke side me ek store room banaya hai jisme hum apne ghar ka extra samaan rakh kar room ke space ko khaali rakh sakte hain.
First Floor Plan
Ghar-ka-naksha |
First floor par ek drawing room ke sath ek bed room hai.kitchen aur bathroom ka size bhot acha hai aur kitchen,bed room,w.c(toilet) ke beech ek O.T.S banaya gaya hai ap nakshe me dekh sakte hain jahan kitchen,bed room ki window aur w.c ke liye ventilation diya gaya hai.over all is chhote se plot me zarurat ki sabhi spaces maujood hain proper size ke sath jisme rah kar apko kabhi ye feel nahi hoga apke plot ka size chhota tha aur apko kabhi pachtawa nahi hona ki kaash kitchen thoda bada banwa lete ya bed room bada banwa lete.is pure nakshe me har space ke size ka khaas khayal rakha gaya hai.
This comment has been removed by the author.
ReplyDeleteNice article, thank you for sharing wonderful information. I am happy to found your blog on the internet. You can also check more - Home Map here.
ReplyDeleteWe are pleased by the details you have posted on your blog, and I have enjoyed reading this information for future reference. Contribute a great deal! Learn something about Floor Plan. Floor Plans & Home Plans
ReplyDeleteac repair delhi
ReplyDelete